Sunday, 1 February 2015

betiyaan...

besak aaj hum 21st centuary m jee rahe ,hum apne aapko bahut sabhya aur shikshit samajhtey hain par kya hum aaj bhi uss sankuchit  purani manasikta se bahar aa paye hain ,yeh aaj bhi bahut bada sawal hai????aur iss baat ka ehsaas mujhe tab hua jab mera samna aise hi ek sakhks se hua jo kahne ko toh sahar ki sabse achchi shikshit colony k they but unka unke bete k liyeh moh n unse bhrudh hatya tak karwa diya ,sayad woh didi  yeh baat badi hi saahajta se bata rahin thi unhe yeh ehsaas bhi n tha ki unhone kya kiya ,sayad unhe yeh ehsaas jab hoga jab unhe bahu ki zarurat hogi ...unhe yeh sahaj isliyeh bhi lag rha tha kyunki unki do betiyaan thi aur woh kisi bhi condition m teesri beti nhi chahti thin toh kya unka yeh kratya sahi tha .....nhi ,kisi bhi condition m sahi nhi tha par meri awaaz toh kahin sunaiye hi nhi di ,colony ki sari aauratein unhe thik kiya aapne kahkar unka manobal jo badha rhi thi par woh ek sampann pariwaar se thi aur n bhi hoti toh kya !!! hum bhi teen behan hain aur chuki humare papa bhi nhi they par humari maa ko humse kabhi bhi koi shikayat nhi rhi unhone hume padhaya ,likhaya aur humari shaadi tak sab kuch kiya jo ek maa -baap ka farz hota hii ,par mujhe lagta hiii kuch logo ko toh bus apni baat sahi sabit karne ke liye kuch b excuse dena hota hiii sayad jinse unka antarmann khud bhi santusta n ho aur isey rokne k liye kisi sarkaar ki nhi balki khud ki sankuchit mansikta ko hume badalna hoga.


No comments:

Post a Comment